Aaj Takdir Savar Jane Do Mujhe Ajmer Me Mar Jane Do Lyrics | Ajmer Sharif Qawwali

Presenting most beautiful KGN Qawwali " Aaj Taqdeer Sanwar Jaane Do Mujhe Ajmer Me Mar Jaane Do ". Sung by Azim Naza and team. A poetry in prais of Sufi saint Hazrat Khwaja Moinuddin Chishti (Khawaja Gareeb Nawaz) Rahmatullah Alaih. Dargah sharif located in Ajmer district of Rajasthan, India. 

SONG CREDITS: 

Song - Mujhe Ajmer Mein Mar Jane Do 
Artist - Azim Naza 
SubBy - Md Shoaib Raza 


Aaj Taqdeer Sanwar Jaane Do Lyrics 

Mastano ke rele me 
Das roz ke mele me
Din kitne suhnae the 
Khush saare diwane the
Jab khatm hua mela 
Aankhon me nami aayi
Khwaja se bichhdne ki 
Jis waqt ghadi aayi
Rota tha machalta tha 
Chaukhat pe tadapta tha
Dehleez pe Khwaja ki
Deewana ye kehta tha

Aaj Taqdeer sanwar jaane do
Muje Ajmer me mar jaane do

Aaj Taqdeer sawar jaane do
Muje Ajmer me mar jaane do

Sochta hun ke bahana kar dun
Jane walon ko rawana kar dun
Me kisi ko bhi nazar na aaun
Damane Khwaja me main chhup jaaun
Zindagi bhar ko tahher jaane do
Muje Ajmer me mar jaane do

Hathon se mere chishtiya 
Daaman na chhudao
Me dar pe pada hu tumhe jana ho to jao
Is dar se uthunga to kahin ka na rahunga
Mujko mere Mueen ke dar se na uthao
Aaj Taqdeer sanwar jaane do
Muje Ajmer me mar jaane do

Mera dil meri jaan mera arman hai
Me hu nirdhan mera Khwaja dhanwan hai
Hind mein sare Waliyon ka Sulta hai
Meri har sans Khwaja pe qurban hai
Aaj Taqdeer sanwar jaane do
Muje Ajmer me mar jaane do

Roze ka naksha zahen mein 
Gumbad pe nazar hai
Ye sab mere Mueen ki nisbat ka asar hai
Duniya na jaan payegi is dil ki kaifiyat
Mein kis liye aaya hun
Yeh Khwaja ko khabar hai
Aaj Taqdeer sanwar jaane do
Muje Ajmer me mar jaane do

Unki nazar se bakht ka takhta hi palat hai
Andaze sakhawat mere Khwaja ka bikhat h
Zardar ki daulat to tijori mein sad gayi
Mazdoor ke hathon me Madine ka tikat hai
Aaj Taqdeer sanwar jaane do
Muje Ajmer me mar jaane do

Ji raha hun zamane ke andhere me
Jage qismat bala se meri der me
Rooh meri Madeena chali jayegi
Maut aa jaye gar Mujko Ajmer me
Aaj Taqdeer sanwar jaane do
Muje Ajmer mein mar jaane do

Chadar unhi ke hath se Roze pe chadana
Naraz unse hoke Tum aankhen na churana
Acchhe hain ya bure hain 
Woh Khwaja ko pasand hain 
Khwaja ke gulamon ka kabhi dil na dukhana
Aaj Taqdeer sanwar jaane do
Muje Ajmer me mar jaane do

Pyare Nabi ke chain ka wo Noore Ain ka
Khatun-e Khuld Zehra ka Badre Hunain ka
Mujhko yakin hai ke Meri jholi bharegi
Khwaja se mujko lena hai sadqa Husain ka
Aaj Taqdeer sanwar jaane do
Muje Ajmer mein mar jaane do

Mastano ke rele me 
Das roz ke mele me
Din kitne suhnae the 
Khush saare diwane the
Jab khatm hua mela 
Aankhon me nami aayi
Khwaja se bichhdne ki 
Jis waqt ghadi aayi
Rota tha machalta tha 
Chaukhat pe tadapta tha
Dehleez pe Khwaja ki
Deewana ye kehta tha

Aaj Taqdeer sanwar jaane do
Muje Ajmer me mar jaane do
Next Post Previous Post
No Comment
Add Comment
comment url