Nisbat Se Teri Mera Zamaane Me Bharam Hai Lyrics - Garib Nawaz Qawwali
Presenting new manqabat " Nisbat Se Teri Mera Zamaane Me Bharam Hai Lyrics ". Khwaja Garib Nawaz Qawwali, Ajmer Sharif Qawwali, KGN Qawwali. We hope you like this kalam. Please share with your friends!
SONG CREDITS:
Album: Ya Khwaja Piya
Kalam: Ya Khwaja Piya Ya Khwaja Piya
SubBy: Md Shoaib Raza
Ya Khwaja Piya Ya Khwaja Piya Lyrics in English
Ya Khwaja Piya Ya Khwaja Piya
Ya Khwaja Piya Ya Khwaja Piya
Ya Garib Nawaaz
Ya Khwaja Piya Ya Khwaja Piya
Ya Khwaja Piya Ya Khwaja Piya
Nisbat Se Teri Mera
Zamaane Me Bharam Hai
Aisa Mere Khwaja
Tera Andaz e Karam Hai
Milta Hai Hamko Kya Kya
Khwaja Teri Gali Mein
Shohrat Teri Gali Mein
Rutba Teri Gali Mein
Milta Hai Hamko Kya Kya
Laakhon Bhatakte Logon Ko
Mil Gaya Hai Aksar
Deen e Mohammadi Ka
Rasta Teri Gali Mein
Tera Dar Mil Gaya Hamko
Sahara Ho To Aisa Ho
Tere Tukdo Pe Palte Hain
Guzara Ho To Aisa Ho
Deen e Mohammadi Ka
Rasta Teri Gali Mein
Ya Khwaja Piya Ya Khwaja Piya
Ya Khwaja Piya Ya Khwaja Piya
Afsar Ho Ya Minister
Aate Hain Sab Yahañ Par
Dekha Bade Badon Ko
Mangta Teri Gali Mein
Saraapa Deed Bankar
Hasrat e Didaar Mein Aaye
Jise Phoolon Mein Rehna Ho
Wo Is Gulzaar Mein Aaye
Jo Betaab e Tamanna Ho
Teri Sarkar Mein Aaye
Khuda Jisko Naa Milta Ho
Wo Is Darbar Mein Aaye
Dekha Bade Bado Ko
Mangta Teri Gali Mein
Ya Khwaja Piya Ya Khwaja Piya
Ya Khwaja Piya Ya Khwaja Piya
Aye Duniya Walon Ishq Ki
Duniya Me Aake Dekh
Agar Rab Ko Hai Samajhna To
Sajde Mein Jaake Dekh
Sajde Ko Samajhna Hai To
Sar Ko Kata Ke Dekh
Gar Sar Ko Hai Samajhna To
Dar Par Jhuka Ke Dekh
Gar Dar Ko Samajhna Hai To
Khud Ko Mita Ke Dekh
Itne Mein Bhi Agar Na
Tujhe Aaye Kuchh Samajh
Chehre Se Apne Pir Ka
Parda Utha Ke Dekh
Ho Kutb Ya Qalandar
Jamshed Ya Sikandar
Ho Kutb Ya Qalandar
Jamshed Ya Sikandar
Hamne Sabhi Ko Paaya
Khwaja Teri Gali Mein
Ya Khwaja Piya Ya Khwaja Piya
Ya Khwaja Piya Ya Khwaja Piya
Duniya Ko Jo Pilaaya
Ashraf Piya Ne Aa Kar
Rindo Ko Mil Gaya Wo
Pyala Teri Gali Mein
Unke Dariya e Karam Se
Mang Lo Do-Chaar Boond
Warna Mehsar Mein Pyala
Dhundte Reh Jaaoge
Rindo Ko Mil Gaya Wo
Pyala Teri Gali Mein
Ya Khwaja Piya Ya Khwaja Piya
Ya Khwaja Piya Ya Khwaja Piya
Mujhtar Tha Yeh Munawwar
Taskeen e Dil Ki Khaatir
Isne Sukoon Ka Paaya
Sadqa Teri Gali Mein
Bigda Bigda, Nahi Rehta Hai
Sawar Jaayega
Sabr Se Kaam Le
Daaman Tera Bhar Jaayega
Isne Sukun Ka Paaya
Sadqa Teri Gali Mein
Ya Khwaja Piya Ya Khwaja Piya
Ya Khwaja Piya Ya Khwaja Piya